Monday, August 15, 2011

Azaadi

tum tum ho
mein mein huun
hum nahin

na kabhi the,
na abhi hein
gham nahin

tumhara dikhlana
samjhana, sikhana
kam nahin

ye na sochna
ke shukraguzar
hum nahin

sach kehte ho
ai dost ki pyaar me
dum nahin

aankho me tinka hoga,
tum chahte ho na, toh woh
nam nahin

azaad ho tum aaj, mere aziz,
tumhein rokne waale
hum nahin

(c) Smita Rajan
15th August 2007

Thursday, July 14, 2011

When the heart speaks, it mutes all else

Safar

Ghatiyon ki chaadar par baadlo ki narm rajai
Hari chaadron ki salvato si ghuumti sadak
Patto ke chhedo se chhanta aasmaan
Aur in sab ke beech tumhara saath.

Baatein
Baatein chakravyuh hein
Shabdo ke jaal hote hein
Baato ki zanjeero ke rakhwale
Jawab aur sawaal hote hein
Unn sawalo ka kahan jawab
Jo dhadkan ki misaal hote hein
Jo mere hoto se nikle bina
Tumhare dil ka haal hote hein.

Sunday, February 27, 2011

ये तो अच्छा है

ये तो अच्छा है कि तुम्हारा
नाम-पता तक मालूम नहीं

वरना शायद तुम्हारे पते का
एक एक लब्ज़ हमारे बीच
एक झीनी सी परत बन जाता

इन परतों का एक पर्दा बुनता
जो शायद तुम्हे दिखता तो नहीं
पर हमारे बीच की दूरी बन लहराता

और मै उसके पीछे छुपकर
तुम्हे देखती तो ज़रूर पर
तुम्हे शायद कुछ और ही नज़र आती

एक दिन तो पता चलना ही है
खूबसूरत दिन को शाम बनकर
रात की गोद में ढलना ही है

तब तक इस मीठी सी धूप में
मुझे अपना आँगन सेक लेने दो
इस सुर-ताल पर झूम लेने दो

ये तो अच्छा है कि तुम्हारा
नाम-पता तक मालूम नहीं

Smita / 28th Feb 2011

Thursday, July 8, 2010

कटी पतंग!

हवाओं पर डोलती
कतराती, हिचकिचाती
कटी पतंग!

डोर नही तुम्हारी
हाथ किसी के
कटी पतंग!

रंग तुम्हारे दूर से भले
पास नही जगह तुम्हारी
कटी पतंग!

इतनी दूर रहती हो
याद भी न रहे तुम्हारी
कटी पतंग!

8th April 2011

Wednesday, August 22, 2007

Ek Aansoo

arson ka dard
saalon ki ranjish
simat aaye ek aansoo mein
palkon ke kone se
dhalak gaya ek aansoo
aur mujhe azaadi de gaya
ek aansoo le toh gaya bahuth kuch
par badle mein uske mujhe
kitna sukoon de gaya
shukraguzaar huun
ki ek aansoo aaya
aur saath apne
unhein le gaya

(c) Smita Rajan
22/11/05

Sannata

Ekaant, hara praant
Mein, aur sannata

Dhadhkan ki dhardhadahat
Patton ki phadphadahat
ghante si lage jab har
chhoti-moti aahat
na jaane kaise samay woh kaata

Ekaant, hara praant
Mein, aur sannata

Sannate ki aawaaz
ya koi bandh pada saaz
aawaaz ka na hona
jaise ho koi ek raaz
chuupi se raahat
kyun na koi dilata

Ekaant, hara praant
Mein, aur sannata

Bhaag chaluun yahan se, mann hai
phir bhi na jaane kya sammohan hai
mera, is awaaz ka,
iska aur mera ek bandhan hai
Lakh chahuun par kadam na uth paata

Ekaant, hara praant
Mein, aur sannata

(c) Smita Rajan
November 2005

Sheeshe ki Deewaar

Jab subah aankhen khulin thin
sabse pehla deedar
mein, mera chehra,
aur sheeshe ki deewar

Din dhalne ka besabri se
khoob kiya intazaar
jab jab nazren uthtin upar
sheeshe ki deewar

shaam dhale nadi kinare
jamna karke paar
jhuki jab paani mein jhankne
toh sheeshe ki deewar

unka aana, nazren milana
dil ka jaana haar
mein, mera pyar, unki aankhen
jo sheeshe ki deewar

na chahoon pir bhi dikhti hoon khudko
chahe bhaag chaloon sau baar
jahan mein jaaun wahin khadi hai
sheeshe ki deewar

inmein dikhti hai jo mujhko
woh kyun nahin mujhe sweekar?
mein, khud mein, bas mein
aur sheeshe ki deewar

(c) Smita Rajan
Aug 18, 2005