Monday, August 15, 2011

Azaadi

tum tum ho
mein mein huun
hum nahin

na kabhi the,
na abhi hein
gham nahin

tumhara dikhlana
samjhana, sikhana
kam nahin

ye na sochna
ke shukraguzar
hum nahin

sach kehte ho
ai dost ki pyaar me
dum nahin

aankho me tinka hoga,
tum chahte ho na, toh woh
nam nahin

azaad ho tum aaj, mere aziz,
tumhein rokne waale
hum nahin

(c) Smita Rajan
15th August 2007