Safar
Ghatiyon ki chaadar par baadlo ki narm rajai
Hari chaadron ki salvato si ghuumti sadak
Patto ke chhedo se chhanta aasmaan
Aur in sab ke beech tumhara saath.
Baatein
Baatein chakravyuh hein
Shabdo ke jaal hote hein
Baato ki zanjeero ke rakhwale
Jawab aur sawaal hote hein
Unn sawalo ka kahan jawab
Jo dhadkan ki misaal hote hein
Jo mere hoto se nikle bina
Tumhare dil ka haal hote hein.
Ghatiyon ki chaadar par baadlo ki narm rajai
Hari chaadron ki salvato si ghuumti sadak
Patto ke chhedo se chhanta aasmaan
Aur in sab ke beech tumhara saath.
Baatein
Baatein chakravyuh hein
Shabdo ke jaal hote hein
Baato ki zanjeero ke rakhwale
Jawab aur sawaal hote hein
Unn sawalo ka kahan jawab
Jo dhadkan ki misaal hote hein
Jo mere hoto se nikle bina
Tumhare dil ka haal hote hein.
